Pages

Monday 17 December 2012

Gandhiji ki prasangikta par bhashan/ speech on relevance of gandhiji

gandiji ki prasangikta arthat gandiji ke ve mulya jo hamesha sarthak the aur aage bhi rahenge. Inhe sarthak kaha gaya hai, ne keval kyunki ye gandhiji dwara kahe gaye hain ya inhone bharat ki azadi me sahyog diya, parantu isliye bhi ki ye hamare jivan yapan ko saral kar dete hain.

udharan ke liye, gandhiji sada hi ahimsa ke marg par chalne ka sandesh dete the. Ahinsa ka aaj bhi utna hi mahatva hai jitna us samay tha.aaj adhiktar chatra doctor v engineer banana chahte hain. ye dono hi ahinsa ka ek jeeta jagta swarup hain jahn par ek doctomr niswarthi hokar dooston ki sahayata karne v unki jaan bachane ke liye tatpar rehta hai.ek engineer bhi kadi mehnat karke desh ki unnati ka prays karta hai.

hamare desh me hi nahi parantu antarrashtriya star par be ahinisa ka bada mahatva hai.gat varsha americi pradhanmantri barak obama ne white house me afriki mahadweep ke pachas deshon ke yuva netaon ke sambhodit karte hue kaha tha ki aaj ke badalte parivesh me yuvaon ko gandhiji se prerna lene ki zaroorat hai.

gandhiji ahinsak to the hi, saath me satyavadi bhi the. unhe upne jeevan me ek hi baar jhoot ka sahara lena pada jiske baad unhe jhoot ke dusparinamon ka gyaat ho gaya. jhooth ke dushparinamon ko aaj bhi dekha jaa sakata hai.

james phray namak lekhak ne ek atma katha likhi jiska shirshak tha 'a million little pieces' jo operah winfree dwara chune jaane par bahut prasidh ho gayi. pustak ki acchi bikri ke baad yeh sach saamne aaya ki kitab ke kai ansh jhoote the. yeh janne ke baad operah winfree ne james phrey ko apne karyakram par bulaya aur unse sach kubool karvaya.

arthat, hame bhi gandhiji ke in moolyon se prerna lekar apna jeevan sarthak banana chahiye.

No comments:

Post a Comment